HAI DUAA YAAD MAGAR HARF-E-DUA YAAD NAHI
MERAY NAGHMAAT KA ANDAZ-E-NAWA YAAD NAHI
HUM NE JIN KE LIYE RAHOON MAIN BICHAYA THA LAHOO
HUM SE KEHTEY HAIN WOHI EHD-E-WAFA YAAD NAHEEN
ZINDAGEE JABR-E-MUSALSAL KI TERHA KAATI HAI
JANEY KIS JURM KI PAI HAI SAZA YAAD NAHEEN
MAIN NE PALKOON SE DER-E-YAAR PEH DASTAK DI HAI
MAIN WOH SAA-IL HOON JISEY KOI SADAA YAAD NAHEEN
KAISEY BHER AAIN SER-E-SHAAM KISI KI AANKHAIN
KAISEY THERAAII CHARAGHOON KI ZAYAA YAAD NAHEEN
SIRF DHUNDLAYE SITAROON KI CHAMAK DAIKHEE HAI
KAB HUA KON HUA MUJH SE KHAFA YAAD NAHEEN
No comments:
Post a Comment