Showing posts with label Nazam. Show all posts
Showing posts with label Nazam. Show all posts

Yahi “WAFA” ka “SILA” hay to k0i baat nahi. Ye dard “TUM” ne “DIYA” hay t0 koi baat nahi

Yahi “WAFA” ka “SILA” hay to k0i baat nahi.
Ye dard “TUM” ne “DIYA” hay t0 koi baat nahi.
Itna “BOHAT” hay k tum “DEKHTE” h0 sahil se.
“HUM” D0ob rahe hain to k0i baat nahi.
Kis ki “MAJAAL” jo mujhk0 kahe “BEWAFA”.
Agar ye “TUM” ne “KAHA” hay to koi baat nahi..
Ye mere bus main kahan k “TUJHE” k0 “BHOOL” Sak0on..

TUM, “MUJHKO” bh0ol ja0 t0 k0i baat nahi..!!!

Maa ka Dil Na Dhukana yaroo

Maa ka Dil Na Dhukana yaroo....


Wo hath sir pe rakhe to aashirwad ban jata hai,
usko rulaane wala jallad ban jata hai,
maa ka dil na dhukana yaaro,
uska to jutha bhi prasad ban jata hai...


Kab hamne kaha ki chandi or sona chahiye,
bas aapke dil mai ek chota sa kona chaiye,
keh sake jise dil se ham apna,
aisa bhi to koi hna chaiye....


Wada jo kiya hai vo tod mat dena,
halat kuch bhi ho hame chod mat dena,
hamare pas reh jaaye sirf yaado ke saaye,
hamari dosti ko aisa mod mat dena....


Muslim ko kuran mai imaan na mila,
hindu ko geeta mai bhagwan na mila,
us insaan ko aasman mai kya bhagwan milega,
jis insaan ko insaan mai insaan na mila....


Yaad karo na karo ham gila nahi karte,
virane mai phool khila nahi karte,
lekin itna yaad rakhnajo aapko dil se yaad kare,
wo insaan roz mila nahi karte....


Ham is tarha unka ehsas rakhte hai,
hazaro yaado ko apne pass rakhte hai,
khuda naseeb kare har khusi unko,
wo log jo mujhe apne dil ke pass rakhte hai....


Chandni raat mai barsaat buri lagti hai,
dil mai jab dard ho to har baat buri lagti hai,
wo hamse na mile koi baat nahi,
par unki gairo se mulakat buri lagti hai....


Ek pal unke bin bitana muskil hua,
chaha to bhut par door jana muskil hua,
kyu ho gaye vo is adar apne,
kyu unki galti par ruth jana muskil laga....


Sach wo daulat hai jise pahle kharch karo,
or zindagi par anand paao,
or juth vo karz hai jo kuch,
din masti to karlo par zindagi bhar chukate raho..


Khasti ke musafir ne samunder nahi dekha,
aankho ko dekha par dil mai utar kar nahi dekha,
pathar samjhte hai mere chahne wale mujhe,
ham to mom hai kisi ne choo kar nahi dekha....

Aalam-E-Zaat Main Darwaish Bana Deta Hai



Aalam-E-Zaat Main Darwaish Bana Deta Hai,

Ishq Insaan Ko Pagal Nahi Honay Deta

Main ne socha chalo ker lay hum koi samjhota is dil se



Main ne socha chalo ker lay
hum koi samjhota is dil se
magar yeh kia k mri dharkan
bagawat dil se kerti hai
zara daikho tum a ker
kyoun hairan main b hoon
Suna hai uski chahat main
milawat had se ziada thi
chalo mana k ye anayat
qiyamat phir se kerti hai
mri ankhain mri palkain
ab nam achi nahin lagti
jo pathar tha ab tota
her sabr b uska
kushion ki yeh barish
suno tum jan lo logoun
ek roz meray agan main
phir se jhoom k hogi..

Gulaab aankhen sharab ankhen, yehi to hein la-jawab aankhen



Gulaab aankhen sharab ankhen,

yehi to hein la-jawab aankhen,
Inhi me ulfat , inhi me nafrat

sawab aankhen , azab aankhen.

Kbhi nazar me bala ki shokhi

kbhi sarapa hijab aankhen.

Kbhi chhupaati hn raaz dil k

kbhi hn dil ki kitab aankhen.

Kisi ny daikhi to jheeel jaisi

kisi ny payeen saraab aankhen.

Woh aaye to log mujh se bolay

hazoor aankhen janab aankhen.

Ajeeb tha guftagu ka aalam

sawal koi jawab aankhen.

Yeh mast mast be-misal ankhen

nashy se hr dam nidhal ankhen.

Uthain to hosh-o-hawaas cheenen

giren to kr dain kamal ankhen.

Koi hai inn k karam ka talib

kisi ka shook-e-wisal ankhen

na yun jalain na yun satain

karen to kuch ye kheyal ankhen

hyn jeene ka ik bahana yaro

ye rooh parwar jamal ankhen

daraz palken ghazal ankhen

musawri ka kamal ankhen

shrab rab ne haram kardi

magr rakhi hen halal ankhen

hazaro inse qatal huehen

khuda k banday sambhal ankhen

Mohabbaton mein gar koi jaadugari nahin hoti chakori chaand ke liye



Mohabbaton mein gar koi jaadugari nahin hoti
chakori chaand ke liye yun baa'nwari nahin hoti

dil ki aahatain dil khud bakhud he suntaa hai
dil ke muaamlaat mein mukhbari nahin hoti
Ik nigaah mein he log rooh tak utartay hain
nazar koi bhi pyar mein sarsari nahin hoti

see'nchtaa hoon raat din aab-e-chashm se magar
phir bhi shaakh-e-jaa'n mri kyun hari nahin hoti

le jaa khud samait kar jo bhi meray paas hai
ab mujh se teri yaado'n ki dilbari nahin hoti

Tu Ne Jo Bhula Diya Tou kyun karoon shikayatain?
Khudaa ke kis kaam mein behtari nahin hoti?

Ik Chiraagh Se Yaha'n Sau Chiraagh Jaltay Hain
Mohabbat Koi Jahaan Mein Aakhri Nahin Hoti

Haan Bhatak He Jaana Tha Teerah Raah Mein Mujhay
Kisi Ke Naqsh-E-Paa Se Jo Raahbari Nahin Hoti

Teray Baad Bhi Khwaab Dekhta Hai, Per
Ab Kisi Bhi Khwaab Mein Koi Pari Nahin Hoti

Sochte Hain Jaan apni usay muft de dein Itne



Sochte Hain Jaan apni usay muft de dein

Itne Masoom Se kharidar se kya lena dena