♣•••••{ Gum e ibaadat }•••••♣
Ae logo tum us qayaamat ka gum karte ho
wo kadr ke ajab ka gum karte ho us gunah ki
tauba mai gum karte ho
Par us nawaas e rasool (sal’lallaho alayhe va aalehi va sallam)
ka gum nahi hai tumhe us 72 saheedo ka
gum nahi hai tumhe
Aur jo bhi imam e hussain (alayhis salam) ka
aur us 72 saheedo ka gum karta hai toh
tum use sirk kyun kehte ho
Ae logo hame bhi pata hai ke kabhi bhi
saheed marte nahi jinda hi hote hai aur ha’n
allah ke wali kabhi marte nahi hai
wo kabr mai apna aala makam bana lete hai
aur allah ke hi tarfse unhe rizk milta hai
Ae momino gum e hussain mana na bahot hi jaruri hai
ye dil pai taag uthana bahot hi jaruri hai
Jab kabhi bhi hamare gum ka khayaal aata tha
sarkar e madina muhammad mustufa
(sal’lallaho alayhe va aalehi va sallam) ko
toh wo puri puri raat hamare liye roya karte they
Aur yaha’n toh hame kiske gum se roka ja raha hai
Ye logo wo wahi hussain hai jinko huzur ne chuma hai
ye wahi hussain hai jinko huzur ne kaandhey pai bithaya hai
ye wahi hussain hai jinke liye huzur ne
sajda lambba kardiya
Ae jaha’n walo abhi bhi waqt hai gum e sabbir se
muh karlo apna laal kyun ke jannat mai jana hai tumhe
Aur hussain (alayhis salam) jannat ke maalik hai
(aap ka maj’hab aap ke saath mujhe toh hussain ka gham ibadat lagta hai)
No comments:
Post a Comment