Ab ki baar mosam mein sakhtiyan bohat hongi din ki roshni



Ab ki baar mosam mein sakhtiyan bohat hongi
din ki roshni mein bhi teyrgi bohat hogi
qehqahon k peechay bhi dard cheekhtay honge..
Meray dil k aalam ko..
Aur meray har ghum ko..
Koi poochnay wala.. Haan.. Magar nahi hoga..!
Hijr ki aziyat mein ashk tou bahanay hain
teri sard-mehri ne yeu bhi din dikhanay hain
rut bahaar ki hogi
aur dil pe pat-jhar ka saniha bapa hoga
koi mil raha hoga..aur koi jda hoga
ye jo haadsa hoga..iss se barh k kya hoga?
Apni khushk aankhon mein dard k sailabon ko
sabr sey chhupana hai..
Aur teri judaai ke zakhm bhi chhupanay hain
teri sard-mehri ne ye bhi din dikhanay hain

No comments:

Post a Comment