Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Mohal Kerdiya


Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Mohal Kerdiya
Ishq Ke Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhal Kerdiya

Milte Hue Dilon Ke Beach Or Tha Faisla Koi
Usne Mager Bicharte Waqt Aur Sawal Kerdiya

Ae Mere Gul Zameen Tujhe Chah The Ek Kitab Ki
Ahle Kitab Ne Mager Kiya Tera Hal Kerdiya

Ab Ke Hawa Ke Sath Hai Damn-E-Yaar Muntazir
Bano-E-Shab Ke Hath Mein Rakhna Sambhal Kerdiya

Mumkina Faislon Mein Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha
Hum Ne To Ek Baat Ki Us Ne Kamal Kerdiya

Mere Labo Per Mohar The,Per Mere Sheesha Rooh Ne To
Shehar Ke Shehar Ko Mera Waiqf-E-Hal Kerdiya

Chehra O Naam Ek Sath Aj Na Yad Aasake
Waqt Ne Kis Shabih Ko Khuwab-O-Khayal Kerdiya

Ke Mudato Baad Usne Aj Mujh Se Koi Gila Kiya
Mansab-E-Dilbari Pe Kaya Mujh Ko Bahal Kerdiya

No comments:

Post a Comment