ye sakoot e naaz ye dil ki ragon ka tootna


sham e gum kuch us nigah e naaz ki batain karoo
bekhudi barhati chali hai raz kee batain karoo

ye sakoot e naaz ye dil kee ragon ka tootna
kahmoshi main kuch shikast e saaz kee batain karoo

nikahat e zulf e pareshan dastan e sham e gum
subah hone tak isi andaz kee baten karoo

har rug e dil vajd main atii rahe dukhati rahi
yoon hi us ke ja o beja naz ki batain karo

kuch kafas ki tiliyon sa chan raha ha noor sa
kuch fiza kuch hasrat e parwaz ki batain karo

jiske furqat ne palat di ishq ki kaya firaq
aaj usi essa nafas damasaz ki batain karo

No comments:

Post a Comment