Hawa-E-Tark-E-Taaluq Chali Hai Dhiyaan Rahay Magr Ye Baat



Hawa-E-Tark-E-Taaluq Chali Hai Dhiyaan Rahay
Magr Ye Baat Hamaray Hi Darmiyaan Rahay

Gilaa Tujhi Se Nahin Baam O Dar Ki Viraani
Khuli Fizaa Main Bhi Hum Log By Amaan Rahay

Te're Aseer Mizaj Aashnaa E Mousam Hain
So Teri Qaid Main Reh Kr Te'ri Amaan Rahay

Shikast E Jaan Pe Hai Tajdeed E Aitebaar Ki Muhr
Jo Doob Kr Bhi Te're Saahilon Ka Maan Rahay

Wo Barg Jin Pe Rutoon Ke Azaab Utray Thy
Shajr Se Katt K Bhi Mousam K Tarjumaan Rahay

Tu Apnay Haq Main Gawahi Kahan Se Laaye Ga
Te're Tarf Se Agr Hum Bhi Bad-Gumaan Rahay

No comments:

Post a Comment