khud ko mitaa ke jin ko sar buland kar gaye
wo log hamein dekh ke darr band kar gaye
ezn e kalaam de gaye zabaan kaat kar
azaad kar ke bhi hamein paband kar gaye
olaad ko jo khaak pe soney nahi deta
kal us ko dafan khak pe farzand kar gaye
hum jin ko nahin chaahte wo chaahte rahey
jo the hamein pasand, napasand kar gaye
pehley banaya hum ko apney teer ka hadaf
phir muskura ke hum ko razaamand kar gaye
hum log is hayaat ke booseeda kafan mei
lamhe ghame firaaq ke pevand kar gaye
wafa ke naam mei nukta hi ik tha
wo naam e wafa likh ke qalam band kar gaye

No comments:
Post a Comment