Kis Ghaat Utarna Tha Lab E Joo Nikal Aaye Phir Shaam Hui



Kis Ghaat Utarna Tha Lab E Joo Nikal Aaye
Phir Shaam Hui Dasht Main Aahoo Nikal Aaye

Urnay Lagi Deevar E Qafz Se Koi Tehreer
Ya Teray Aseeroon K Hi Bazoo Nikal Aaye

Is Dar Se Main Soya Nahin Neendoon K Safr Main
Kab Meray Ta'aqub Main Wo Khushboo Nikal Aaye

Phir Ad'l Ki Zanjeer Hila Di Hai Kisi Ne
Phir Wada E Farda Pe Tarazoo Nikal Aaye

Hum Sab;R Ki Talqeen Kiya Kartay Thay Jis Ko
Ab Ke Usay Dekha Hai To Aansoo Nikal Aaye

Aankhon Se Uljhnay Laga Phir Johar E Girya
Is Aalum E Wehshat Main Agar Too Nikal Aaye

Aaye Jo Saleem Ab Sir E Fehrist Sukhan Hum
Kuch Hifz E Maratib Ke Bhi Pehloo Nikal Aaye

No comments:

Post a Comment