Main rozgaar ke silsile mein Kabhi Kabhi Uske Shaher Jata Hoon

Main rozgaar ke silsile mein

Kabhi Kabhi Uske Shaher Jata Hoon

To guzarta hu us gali se

Wo neem-tariq si gali

Aur Usike Nukkad Pe Mota Purana Sa Ik Khambha

Usi k niche

Tamam shab Intezaar karke

Main chor aaya tha shaher Uska Bahot Hi Khasta Si Roshni ko teke

Wo khambha Aaj Bhi Wahi Khada Hai

Futur hai magar

Main us Khambhe Ke Paas Jakar

Nazar Bachake Mohallewalo Ki

Puch leta hoon aaj bhi ye

Ke

Mere Jaane K Bad Bhi

Wo Aayi To Nahi Thi

Wo Aayi Thi Kya

No comments:

Post a Comment