Nishan tak na milain ge meri wafa k usay k maine rah



Nishan tak na milain ge meri wafa k usay,
k maine rah badl di hay aazma k usay!

Kabhi na harf koi uski sadgi ka khula,
Warq warq parha main ne dil laga k usay!

Jo sab ka haal hua tha wo mera haal hua,
Bani na baat koi bat bhi suna k usay!

Mujhy yaqeen hai wo laut kar bhi ayega,
Magr udaas hun ab raasta dikha k usay

No comments:

Post a Comment