pehla misra aik din baagh main ja ker chashm_e_hairat-zada wa ker



pehla misra

aik din baagh main ja ker
chashm_e_hairat-zada wa ker
jama_e_sabr qaba ker
tayer-posh urra ker
shoq ko raah numa ker
murgh nazara urra ker
dekhi rang jo chaman ki
khoobi nasreen-o-saman ki
shakal gunchon k dahen ki
taazgi laala k tan ki
taazgi gul k badan ki
kasht sabze ki hari thi
naher bhi laher bhari thi
her khayaban main tari thi
daali her gul ki hari thi
khush naseem_e_sehri thi
sur-o-shamshaad-o-sanober
sumbul-o-sousan-o-a'r-a'r
nakhl maiwe se rahe bhar
nafs_e_ba'ad mo'amber
dar-o-deewar mo'attar
kahin qumri thi matooq
kahin angoor mua'llaq
naale bul-bul k mudaqqaq
kahin ghoghai ki baq-baq
is qadr shaad howa dil
misl gunche k gaya khil
gham howa kushta-o-bismil
shaadi khaatir se gai mil
khurmi ho gai haasil
rooh baleeda ho aai
shaan_e_qudrat ne dikhai
jaan si jaan main aai
baagh kia tha goya allah ne is baagh main jannat ko utaara

No comments:

Post a Comment