Raat Bhar Sard Hawa Chalti Rahi Raat Bhar Hamne Alaav Taapa



Raat Bhar Sard Hawa Chalti Rahi
Raat Bhar Hamne Alaav Taapa
Maine Maazi Se Kai Khushk See Shaakhien Kaati
Tum Ne Bhi Guzre Huway Lamhon Ke Patte Torre
Meine Jaibon Se Nikali Sabhi Sukhi Nazmain
Tum Ne Bhi Haathon Se Murjhaaye Hue Khat Khole
Apni In Aankhon Se Meine Kai Manzer Torre
Aur Haathon Se Kai Baasi Lakeeren Phenki
Tum Ne, Palkon Pe Nami Sookh Gayee Thee, So Gira Di
Raat Bhar Jo Bhi Mila Ugte Badan Par Humko
Kaat Ke Daal Diya Jalte Alaawon Main Use
Raat Bhar Phoonkon Se Har Lau Ko Jagaye Rakha
Aur Do Jismon Ke Eendhan Ko Jalaye Rakha
Raat Bhar Bujhte Hue Rishte Ko Taapa Humne

No comments:

Post a Comment