Sham Ke Paich-O-Kham Sitaro’n Se



Sham Ke Paich-O-Kham Sitaro’n Se
Zeena Zeena Utar Rahi Hy Raat
Yoo’n Saba Pass Sy Guzarti Hy
Jesy Keh De Kisi Ne Payar Ke Baat
Sehan-E-Zindaa’n Ke By Watan Ashjaar
Sar Nigoo’n, Mehav Hain Banany Mein
Daaman-E-Aasma’n Pe Naqsh-O-Nigaar
Shana-E-Baam Par Damakta Hai
Meharbaa’n Chandni Ka Dast-E-Jameel
Khaak Mein Ghul Gae Hy Aab-E-Najoom
Noor Mein Ghul Gaya Hy Arsh Ka Neel
Sabz Gosho’n Mein Neelgoo’n Saey
Lehlahaty Hain, Jis Tarah Dil Mein
Mouj-E-Dard-E-Firaaq-E-Yaar Aaey
Dil Sy Paiham Khayal Kehta Hai
Itni Sheeree’n Hy Zindagi Iss Pal
Zulm Ka Zehar Gholny Waly
Kaamraa’n Ho Sakei’n Gy Aaj Na Kal
Jalwa Gaah-E-Visaal Ke Shammei’n
Wo Bujha Bhi Chuky, Agar Tou Kya
Chaand Ko Gul Karei’n, Tou Hum Jaanei’n

No comments:

Post a Comment