Shikwa The complaint Sir Dr. Allama iqbal kyun ziyaan kaar banun sood framosh rahun



Shikwa
The complaint

Sir Dr. Allama iqbal

kyun ziyaan kaar banun, sood framosh rahun
fikr-e-farda na karum, mahw-e-ghum-e-dosh rahun

naale bulbul ke sunoon, aur hama tan gosh rahun
humnawa main bhi koi gul hun ke khamosh rahun

jurrat aamoz miri taab-e-sakhun hai mujh ko
shikwa allah se khakam badahan hai mujh ko

hai baja shewa-e-tasleem mein mashoor hain hum
qissa-e-dard sunate hain ke majboor hain hum

saaz-e-khamosh hain, faryad se maamoor hain hum
nala ata hai agar lab pe to maazoor hain hum

ae khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le
khugar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le

thi to maujood azal se hi teri zaat-e-qadim
phool tha zaib-e-chaman, par na preshan thi shamim

shart insaaf hai, ae sahib-e-altaf-e-amim
boo-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim

hum ko jamiat-e-khatir ye preshani thi
warna ummat tere mehboob (s.a.w.) ki diwani thi

hum se pehle tha ajab tere jahan ka manzar
kahin masjood the pathar, kahin maabood shajar

khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar
manta phir koi un-dekhe khuda ko kyunkar

tujh ko maalum hai leta tha koi naam tera?
quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera

bas rahe the yahin saljuq bhi, toorani bhi
ahl-e-chin cheen mein, iran mein sasaani bhi

issi maamoore mein aabad the yoonani bhi
issi dunya mein yahudi bhi the, nusraani bhi

par tere naam pe talwar uthai kis ne
baat jo bigri huwi thi, woh banaai kis ne

thay hameen ek tire maarka aaraaon mein!
khushkion mein kabhi larte, kabhi dariyaon mein,

deen azaanen kabhi europe ke kaleesaaon mein
kabhi africa ke tapte huwe sehraaon mein.

shan ankhon mein na jachti thi jahan daron ki
kalima parhte the hum chaon mein talwaron ki

hum jo jeete thay to jnagon ki musibat ke liye
aur merte thay tere naam ki azmat ke liye

thi na kuch taeg-zani apni hukumat ke liye
sar-bakaf phirte the kya dehar mein doulat ke liye

qaum apni jo zar-o-maal-e-jahan par marti,
but faroshi ke iwaz but shikni kyon karti?

tal na sakte the agar jang mein arh jate the
paon sheron ke bhi maidan se ukhar jate the

tujh se sarkash huwa koi to bighar jate the
taeg kya cheez hai, hum toup se larh jate the

naqsh tauheed ka har dil pe bithaya hum ne
zer-e-khanjar bhi yeh paigham sunaya hum ne

tu hi keh de ke ukhara dar-e-khyber kis ne
sheher qaiser ka jo tha, us ko kiya sar kis ne

tore makhluq khudawandon ke paikar kis ne
kaat kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis ne

kis ne thanda kiya atishkuda-e-iran ko?
kis ne phir zinda kiya tazkara-e-yazdaan ko?

kon si qoum faqat teri talabgar huwi
aur tere liye zehmat kash-e-paikaar huwi

kis ki shamsheer jahangeer, jahandar huwi
kis ki takbeer se dunya teri baidar huwi

kis ki haibat se sanam sehme huwe rehte the
munh ke bal gir ke 'hu wa-allah hu ahad' kehte the

aa gaya ain laraai mein agar waqt-e-namaz
qibla ru ho ke zameen bos huwi qoum-e-hijaz

ek hi saf mein khare ho gaye mahmood-o-ayaz,
no koi banda raha aur na koi banda nawaz.

banda-o-sahib-o-mauhtaaj-o-ghani aik huwe
teri sarkar mein pohanche to sabhi aik huwe

mehfil-e-kon-o-makan mein sehar-o-sham phire
mai-e-tauheed ko lekar sifat-e-jam phire

koh mein, dasht mein le kar tera pegham phire
aur maaloom hai tujh ko, kabhi nakaam phire !

dasht to dasht hain, darya bhi na chhore hum ne
bahr-e-zulmaat mein daura diye ghore hum ne

safah-e-dahar se baatil ko mitaya hum ne
nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya hum ne

tere kaabe ko jabeenon se basaya hum ne
tere quran ko seenon se lagaya hum ne

phir bhi hum se yeh gila hai ke wafadar nahin
hum wafadar nahin, tu bhi to dildar nahin!

ummatain aur bhi hain, in mein gunahgar bhi hain
ejz wale bhi hain, mast-e-mai-e-pindar bhi hain

in mein kahil bhi hain, ghafil bhi hain, hushyar bhi hain
saikron hain ke tere naam se baizar bhi hain

rehmatain hain teri aghiyar ke kashaanon par
barq girti hai to bechare musalmanon par

boott sanam khanon mein kehte hain, musalman gye
hai khushi in ko ke kaabe ke nigehban gye

manzil-e-dehr se unthon ke hudi khawan gye
apni baghlon mein dabaye huwe quran gye

khandah zan kufr hai, ehsas tujhe hai ke nahin
apni touheed ka kuch paas tujhe hai ke nahin

ye shikayatt nahin, hain un ke khazane maamur
nahin mehfil mein jinhain baat bhi karne ka shaur

qehar to ye hai ke kafir ko milain hoor-o-qasoor
aur bechare musalman ko faqat wada-e-hoor

ab woh altaf nahin, hum pe anayat nahin
baat ye kya hai ke pehli si madarat nahin

kyun musalmanon mein hai doulat-e-dunya nayaab
teri qudrat to hai woh jis ki na had hai na hisab

tu jo chahe to uthe seena-e-sehra se habab
rahroo-e-dasht ho seeli zada mouj-e-saraab

taan-e-aghiyaar hai, ruswai hai, nadaari hai,
kya tere nam pe marne ka iwaz khwari hai?

bani aghyar ki ab chahne wali dunya
reh gyi apne liye aik khiyali dunya

hum to rukhsat huwe, auron ne sanbhali dunya
phir na kehna huwi touheed se khali dunya

hum tau jeete hain ke duniya mein tira naam rahe,
kahin mumkin hai saqi na rahe, jaam rahe?

teri mehfil bhi gai, chahne walw bhi gaye,
shab ki aahen bhi gaien, subah ke nale bhi gaye,

dil tujhe debhi gaye, apna sila le bhi gaye,
aa ke baithe bhi na the, ke nikaale bhi gaye.

aae ushaaq, gaye waada-e-farda lekar,
ab unhen dhoond charag-e-rukh-e-zeba lekar!

dard-e-laila bhi wohi, qais ka pahlu bhi wohi,
nejd ke dasht-o-jabal mein ram-e-aahoo bhi wohi,

ishq ka dil bhi wohi, husn ka jaadoo bhi wohi,
ummat-e-ahmed-e-mursil bhi wohi, tu bhi wohi,

phir yeh aazurdagi-e-ghair-sabab kya maani,
apne shaidaaon pe yeh chashm-e-ghazab kya maani?

tujh ko chora ke rasool-e-arabi (s.a.w.) ko chora?
boutgari paisha kiya, bout shikani ko chora?

ishq ko, ishq ki ashuftah-sari ko chora?
rasm-e-salman (r.a.)-o-awais-e-qarani (r.a.) ko chora?

aag takbeer ki seenon mein dabi rakhte hain
zindagi misl-e-bilal-e-habshi (r.a.) rakhte hain

ishq ki khair, who pehli si ada bhi na sahi,
jaada paimaai taslim-o-raza bhi na sahi,

muztarib dil sifat-e-qibla nama bhi na sahi
aur pabandi-e-aaeen-e-wafa bhi na sahi

kabhi hum se, kabhi ghairon se shanasaai hai
baat kehne ki nahin, tu bhi to harjaai hai

sar-e-faran pe kiya deen ko kamil tu ne
ek ishare mein hazaron ke liye dil tu ne

atish andoz kiya ishq ka hasil tu ne
phoonk di garmi-e-rukhsar se mehfil tu ne

aaj kyun seene humare sharar abad nahin
hum wohi sokhta saman hain, tuhe yaad nahin

wadi-e-najd mein woh shor-e-silasil na raha
qais diwana-e-nazara mehmil na raha

hosle woh na rahe, hum na rahe, dil na raha
ghar ye ujhra hai ke tu ronaq-e-mehfil na raha

ae khush aan roz ke ayi-o-bsad naz ayi
be-hijabana soo'ay mehfil-e-ma baaz ayi

badahkash gair hain gulshan mein lab-e-joo baithe
sunte hain jaam bakaf naghma-e-kuku baithe

door hungama-e-gulzar se yak soo baithe
tere diwane bhi hain muntazir 'hoo' baithe

apne parwanon ko phir zauq-e-khud afrozi de
barq-e-dairina ko farman-e-jigar sozi de

qoum-e-awara anaa taab hai phir soo'ay hijaz
le ura bulbul-e-be par ko mazak-e-parwaz

muztarib bagh ke har ghunche mein hai boo ay niaz
tu zara chair to de, tashna-e-mizrab hai saaz

naghme betaab hain taron se niklne ke liye
toor muztar hai ussi aag mein jalne ke liye

mushkalain ummat-e-marhoom ki asan kar de
moor-e-bemaya ko humdosh-e-suleman kar de

jins-e-nayaab-e-mohabbat ko phir arzaan kar de
hind ke dair nasheenon ko musalman kar de

joo'ay khoon mee chakad az hasrat-e-dairina-e-maa
mee tapd nala ba nashtar kadah-e-seena-e-maa

boo-e-gul le gyi bairun-e-chaman raaz-e-chaman
kya qayamat hai ke khud phool hain ghammaz-e-chaman

ahd-e-gul khatam hua, tut gaya saaz-e-chaman
ur gaye dalion se zamzama pardaaz-e-chaman

ek bulbul hai ke hai mahw-e-tarannum ab tak
us ke seene mein hai naghmon ka talatam ab tak

qumrian shaakh-e-sanober se gurezaan bhi huin
pattian phool ki jhar jhar ke pareshan bhi huin

who purani ravishen bagh ki weeran bhi huin
daalian parahan-e-barg se uriaan bhi huin

qaid-e-mausim se tabiat rahi aazad uski
kaash gulshan mein samjhta koi faryaad uski

lutf merne main hai baqi, na maza jeene mein
kuch maza hai to yehi khoon-e-jigar peene mein

kitne betaab hain jouhar mere aaeene mein
kis qadar jalwe tarapte hain mere seene mein

iss gulistan mein magar dekhne wale hi nahin
dagh jo seene mein rakhte hun, woh lale hi nahin

chaak iss bulbul-e-tanha ki nawa se dil hon
jaagne wale issi bang-e-dara se dil hon

yani phir zinda naye ehd-e-wafa se dil hon
phir issi bada-e-deerina ke pyaase dil hon

ajami khum hai to kya, mai to hijazi hai meri
naghma hindi hai to kya, lai to hijazi hai meri

No comments:

Post a Comment