yaad ki rehguzar jis pe isi soorat se muddaten beet gai hain



yaad ki rehguzar jis pe isi soorat se
muddaten beet gai hain tumhain chaltey chaltey
khatam ho jaaye jo do chaar qadam aur chalo
maur parta hai jahan dasht-e-faramoshi ka
jis se aagey na koi main hu na koi tum ho
saans thaamey hain nigaahen k na jaaney kis damm
tum palat aao guzar jao ya murr kar dekho
garcha waaqif hain nigaahe k ye sab dhoka hai
gar kahin tum se hum aaghosh hui phir se nazar
phoot nikley gi wahan aur koi reh guzar
phir ussi tarah jahan ho ga muqaabil paeham
saaya-e-zulf ka aur junbish-e-bazu ka safar
doosri baat bhi jhooti hai k dil jaanta hai
han koi maurr koi dasht koi ghaat nahin
jis k pardey main mera maah-e-rwaan doob sakey
tum se chalti rahey ye raah yunhi acha hai
tum ne murr k bhi na dekha to koi baat nahin

No comments:

Post a Comment