Badi Muskil Se Sikha Hai Gum Chupakar Muskuran

Badi Muskil Se Sikha Hai Gum Chupakar Muskuran
Kabhi laga vo hame sata rahe hai,
kabhi laga ke vo karib aa rahe hai,
kuch log hote hai aansou ki tarah,
pata hi nahi lagta sath de rahe hai chod ke jaa rahe hai...

Apni dil ke jazbat se kaam na lo,
mujhe yaad rakho besak naam na lo,
aapka beham ke ham bhul gaye aapko,
aisa soch kar mere pyar ka imthihan na lo,

lazwaab hai hamare jeene ka fasana,
koi sikhe hamse har pal muskurana,
koi meri hasi ko nazar na lagana,
badi muskil se sikha hai gum chupakar muskurana....

Dosti har chehre ki muskurahat hoti hai,
dosti hi sukh dukh ki pehchan hoti hai,
koi ruth bhi jaye to dil pe mat lena,
kyunki dosti jara si nadaan hoti hai...

Yaad na karoge to bhula bhi na sakoge,
mere khyal ko dil se mita na sakoge,
ek baar jo dekh lo mere dil ke zhakam,
fir saari zindagi muskura bhi na sakoge..

Mujhe dard deta hai vo bas ye sochkar,
ki ham pareshan hokar picha chod denge,
lagta hai chahat ka yakin tab hoga,
jab ham dadhkano se sanso ka rista chod denge...

Naa jane kyu vo hamse vidaai mang rahi hai,
naa chahte hue bhi judaai mang rahi hai,
diwangi mai keh gaye the ham unhe khuda,
sayad yahi sochkar vo hamse khudai mang rahi hai...


Ek pal unke bin bitana muskil hua,
chaha to bhut par dur jana muskil hua,
kyu ho gaye vo is kadar apne,
ki unki galti par ruth jana bhi muskil hua...


Zindagi ek abhilasa hai,
kya gazab iski paribhasa hai,
zindagi kya hai mat pucho mere dost,
sawar gai to dulhan or bhikhar gai to tamasaa hai...

Sikha gaya mai bhi apne dard ko chupana,
sikha gaya mai bhi ab bhane banana,
naa sikh paya to bas itna,
apne dil ko khush karne ke liye auro ka dil dukhana...

No comments:

Post a Comment