Maa ka Dil Na Dhukana yaroo

Maa ka Dil Na Dhukana yaroo....


Wo hath sir pe rakhe to aashirwad ban jata hai,
usko rulaane wala jallad ban jata hai,
maa ka dil na dhukana yaaro,
uska to jutha bhi prasad ban jata hai...


Kab hamne kaha ki chandi or sona chahiye,
bas aapke dil mai ek chota sa kona chaiye,
keh sake jise dil se ham apna,
aisa bhi to koi hna chaiye....


Wada jo kiya hai vo tod mat dena,
halat kuch bhi ho hame chod mat dena,
hamare pas reh jaaye sirf yaado ke saaye,
hamari dosti ko aisa mod mat dena....


Muslim ko kuran mai imaan na mila,
hindu ko geeta mai bhagwan na mila,
us insaan ko aasman mai kya bhagwan milega,
jis insaan ko insaan mai insaan na mila....


Yaad karo na karo ham gila nahi karte,
virane mai phool khila nahi karte,
lekin itna yaad rakhnajo aapko dil se yaad kare,
wo insaan roz mila nahi karte....


Ham is tarha unka ehsas rakhte hai,
hazaro yaado ko apne pass rakhte hai,
khuda naseeb kare har khusi unko,
wo log jo mujhe apne dil ke pass rakhte hai....


Chandni raat mai barsaat buri lagti hai,
dil mai jab dard ho to har baat buri lagti hai,
wo hamse na mile koi baat nahi,
par unki gairo se mulakat buri lagti hai....


Ek pal unke bin bitana muskil hua,
chaha to bhut par door jana muskil hua,
kyu ho gaye vo is adar apne,
kyu unki galti par ruth jana muskil laga....


Sach wo daulat hai jise pahle kharch karo,
or zindagi par anand paao,
or juth vo karz hai jo kuch,
din masti to karlo par zindagi bhar chukate raho..


Khasti ke musafir ne samunder nahi dekha,
aankho ko dekha par dil mai utar kar nahi dekha,
pathar samjhte hai mere chahne wale mujhe,
ham to mom hai kisi ne choo kar nahi dekha....

No comments:

Post a Comment