Gham Se Behal Rahy Hain Ap Aap Bohat Ajeeb Hain
Dard Mein Dhal Rahy Hain Ap, Aap Bohat Ajeeb Hain
Sayaa-E-Wasl Kab Se Hay, Aap Ka Muntazir Magar
Hijr Mein Jal Rahy Hain Ap, Ap Bohat Jaeeb Hain
Apny Khilaaf Faislaa, Khud Se Likha Hay Aap Ne
Haath Bhi Mal Rahy Hain Aap, Aap Bohat Ajeeb Hain
Waqt Ne Aarzu Ki Lau, Dair Hui Bhujha Bhi Dee
Ab Bhi Pighal Rahy Hain Ap, Aap Bohat Ajeeb Hain
Zehmat-E-Zarbat-E-Digar Dost Ko Dijiay Nahin
Gir K Sambhal Rahy Hain Ap Aap Bohat Ajeeb Hain
Daaira-Waar Hi To Hain, Ishq K Raasty Tamaam
Raah Badal Rahy Hain Aap, Aap Bohat Ajeeb Hain
Dasht Ki Saari Ronaqain, Khair Se Ghar Main Hain To Kyun
Ghar Se Nikal Rahy Hain Aap, Aap Bohat Ajeeb Hain
Apni Talash Ka Safar Khatm Bhi Kijiay Kabhi
Khawb Mein Chal Rahy Hain Aap, Aap Bohat Ajeeb Hain

No comments:
Post a Comment