"Hum Buray Loog Hain"
Tum Hi Achay Thy Kisi Se Kabhi Takraar Na Ki
Tum K Takrar Ke Khu-Gr Bhi Na Thy
Tum Hi Achay Thy
Jo Min-Jumla E Arbaab E Nazr Rehty Thy
Itnay Saada Thy K Zakhmoon Ko Hina Kehty Thy
Shehr E Pur-Hosla Main
Sheewah E Ehl E Hunr Per Kabhi Tanqeed Na Ki
Itnay Be-Bass Thy K Jab Waqt Para
Apni Bhi Taa'eid Na Ki
Hum Buray Loog Hain Sach Kehty Hain
Hum Buray Log Hain, Khushnoodi E Arbaab E Asr Ke Baaghi
Kabhi Qatraay Ko Samandr Na Likha
Kisi Zarray Ko Bhi Sehraa Na Kaha
Qarz E Aaina Chukanay K Liye Aks Se Mehroom Rahay
Aur Insaan Se Muhabbat Ka Sila
Ik Saza Yaafta Mujrim Ki Tarha Zinda Rahay

No comments:
Post a Comment