Mein sochta Hoon Tumhare bagair kya hoga



Mein sochta Hoon Tumhare bagair kya hoga

Kabi Tum apni Mohabbat ka Aitbar to do
Mai chahon Toot kar Tum ko ye Ikhtiyar to do

Guzarti hi nhi Mujh se ye Zindagi Tanha
Sahara Pyar ka deker isey guzaar to do

Mein sochta Hoon Tumhare bagair kya hoga
Dil o Dimaag pr ek Bhoj hai utar to do

Mere khiyal ki Rahoon ko Keh Kishan kar do
K Roshni se Meri Zindagi Sanwar to do

Umeed e Wafa Ghum e Hijar ka Madawa hai
Mein Intizar karoon mgr Zabt e Intizar to do..

No comments:

Post a Comment