Wo Ajnabi Ajnabi Sey Chehray Wo Khuwab Khai’may Rawaan Dawaan Sey



Wo Ajnabi Ajnabi Sey Chehray Wo Khuwab Khai’may Rawaan Dawaan Sey
Basay Howey Hain Abhi Nazar Main,Sabhi Manazar Dho’wan Dho’wan Sey

Yeh Aks-e-Dagh-e-Shikast-e-Pay’maan,Wo Rung-e-Zakhm-e-Khulos-e-Yaraan
Main Ghum Gusaaron Mein Soochta Hoon, K Baat Chai’Roon Kahan Kahan Sey

Ye Sungrai’zay Adawtoon K,Wo Aab’Geenay Sakha’Watoon Key
Dil-e-Musaafir Qabool kar Ley, Mila Hai Jo Kuch Jahaan Jahaan Sey

Bicharnay Wala Bicharr Chala Tha Toa Nisbtain Bhi Ganwa K Jata
Teray Liye Shehr Bhar Sey Ab Bhi Main Zakhm Kha’on Zubaan Zubaan Sey

Meri Mohabbat K Weh’moon Sey Paray Tha Tera Wajood Warnaa
Jahan Jahan Tera Aks Thera, Main Ho K Aaya Wahaan Wahaan Sey

Tu Humsafar Hai Na Hum’naffas Hai,Kisay Khabar Hai K Tu Kidhar Hai
Main Dasta’khen Dey K Pooch Baitha Makeen Makeen Sey Makaan makaan Sey

Abhi MoOhabbat Ka Ism-e-Aazam Laboon Pey Rehnay dey Jaan-e-Mohsin
Abhi Hai Chahat Naii Naii Sii, Abhi Hain Jazbay Jawaan Jawaan Sey

No comments:

Post a Comment